MAA KA LAADLA BIGAD GAYA – 6
Click here to read Maa Ka Ladla bigad Gaya – Part 5
Abhigyaan ke delhi jaane ke baad Kavitaji ko laga ki ab Monu ke dad se Abhigyaan aur Monu ke ristey ki baat karna jaruri ho gaya he. to ek din mauka dekhker unhone Baldevji se jikr ched diya,
” Suniyeji………………………………..ab gussa thook dijiye. jesa bhi he Monu apna eklauta beta he. aur gay wo apni marji se to bana nahi he na. jesa bhagwaan ne use banaakar bheja he hame use wesa hi kubul karna chahiye.
Aap agar is baat ko jayda tul denge to mujhe dar he ki kahi ham apna beta hamesa ke liye na kho de………… “
Itana kahte hue Kavitaji emotional ho gayi. Baldevji ne unhe sambhaalate hue kaha, ” Kavita mene is baare me bahut socha . bahut pada . aur me is natije per pahuncha hu ki tum sahi kah rahi ho. hame apne bachche ko agar apni aankho ke saamane rakhana he to uske sexual orientation ke sath swikaar karna padega.
Kavita…..meri neend kai baar raat me khul jaati he to sochata hu ki is budaape me Monu ke bina kese jee paunga. ye samaaj aur society mere dard ko kabhi nahi samjh paayegi. haa me ye bhi mahsus karta hu ki society is ristey ko itani aasani se accept nahi karegi lekin kisi na kisi ko to pahla kadam uthana hi padega. aur me nahi chahta ki mera beta mujhe ek kaayar samjhe. isaliye aaj se me apne bete ke sath hu……. “
Baldevji ki baato ne Kavitaaji ke murjhaaye chehre per muskuraahat ki roshani bikher di. wo rote rote has padi. dosto is dunia me ese kaun maa baap honge jo apne bachcho ko khona chahenge.
Kavitaji aur Baldevji ne bhi wahi kiya.
Baldevji ki rajaamandi ke baad Kavitaji ne Abhigyaan ke ristey ki baat ched di. to Baldevji chaunk gaye aur agale hi pal khush hote hue bole.
” Kavita jo jimmedaari mujhe puri karni chahhiye thi wo tumane puri karke mujhe bahut bada sabak diya he . wese Abhigyaan se mulaakat kab ho sakegi ??”
Kavitaji ne apna mobile nikala aur Monu ka no. lagaya aur use turant ghar bulwa bhega. 30 minute me Monu ki jipsy bunglow ke baahar aakar khadi ho gayi. Monu maa ke paas aaya to dekha ki papa bhi wahi baithe he. use laga ki aaj koi bahut serios baat hogi shayad.
Kavitaji ne Monu ko apne paas bulaate hue kaha, ” Monu ………………..tumhaare papa tumse kuch kahna chahte he ….”
Monu ka dil joro se dhadak raha tha. use maalum tha ki papa aaj fir usake sath sakhti se pesh aayenge. wo apne dil ko majboot karke papa ki taraf bada.
Baldevji ne bhi apne kadam Monu ki taraf badaaye..
kuch pal ki khaamoshi ke baad Baldevji bahut jyada emotional hokar bole,
” Monu mene tujhe peechhale dino jo bhi gussa kiya tujhe ulta seedha kaha us sab ko bhool ja aur ek baat kaan khol ke sun le. mujhme ab itani taakat nahi rahi ki is budaape me apne bete ki judaai ka dard jhel saku. mene jo kaha wo ek baap hone ke naate kaha tha aur aaj bhi ek baap hone ke naate kah raha hu. tu jesa he mujhe wesa hi manjur he.
bas mujhse ek vaada kar ki kabhi mujhe chorkar nahi jaayega “
Iana kahte kahte Baldevji foot footkar ro pade. Monu ne aage badkar papa ko gale laga liya.. wo bhi rone laga . aaj Monu bahut khush tha use apne papa wapas mil gaye the. wo papa ke gale lagta hua bola., ” aapne esa kyu socha ki me aapko chorkar chala jaaunga ….??”
Baldevji rote hue bole, ” us din jab mene tujhe daanta tha to tune kaha nahi tha i me chala jaaunga”
Monu pita ko apni baanho me kaste hue bola, ” nahi papa ……………wo to me gusse me bol gaya tha. aap aur maa ke alaawa mera is dunia me aur he hi kaun.
Mene hamesa aapki aankho ke saamane rahunga “
Aaj bahut khaash din tha . Kavitaji, Baldevji aur Monu ke liye. aaj ye pariwaar fir se ek ho gaya tha. raat ko ye khushkhabri Monu ne Abhigyaan ko dene ke liye usake no. per call kiya to udhar se dipaanker ne phone uthaate hue kaha, ” Monu……
Abhigyaan ko bukhaar aa raha he isaliye mene dawaa dekar sula diya he. wese ek baat kahu ab use akela mat choro. uski saari bimaari uska akelapan he. aur khud ka khayal na rakhana. tumhare sath rahta he to esa lagta he mera dost fir se jeene laga he . uska kaam uski jaan ka dusman ban jaaye isase pahle tum use apna banaker yaha se le jao……”
Dipaanker se baat karrne ke baad Monu maa ke paas daudkar gaya aur unhe saari baat bata di. agle din hi Monu aur usake maa baap delhi nikal gaye Abhigyaan se milane ….
Waha pahuchate hi Monu Abhigyaan ke room ki taraf bhaga. usane dekha Abhigyaan bed per leta hau tha. Monu ko dekhte hi uske chehre per chamak laut aayi. Monu ne Abhigyaan ko apni baanho me bharte hue use chumana shuru kar diya. Abhigyaan ne bhi kiss karna shuru kar diya jono ek dusre ko beintehaa pyar kiye ja rahe the. fir kuch der baad Abhigyaan muskuraate hue bola, ” ab bas kar Monu. warna maleria to theek ho jaayega lekin laveria ho jaayega mujhe.
Hehehehehheheheehhh ……………………….. “
Monu use chumate hue bola, ” wo to ho chuka he ham dono ko…….”
Monu ne jab kaha ki papa bhi aaye he milane to Abhigyaan behad khush hua. wo milana chah raha tha per weekness ki wajah se usase khada nahi hua ja raha tha. to Monu ne use apni peeth per utha liya aur usake dono per apni kamar ke ird gird hatho se ese pakad liye jese chhota bachcha ho. Abhigyaan ne use rokana bhi chaha per Monu kaha uski suanane wala tha. Monu Abhigyaan ko lekar maa aur papa ke saamane lekar aa gaya. Abhigyaan ko dekhate hi Kavitaji fikrmand ho gayi. aur bol padi, ” arey ek haftey me kitana dubala ho gaya he mera bachcha. idhar aa mera paas aaja mere bachche……………………….”
Monu ne Abhigyaan ko Kavitaji ke bagal me sofa per baitha diya to Kavitaaji ne Abhigyaan ko apne seene se laga liya, Abhigyaan ne Baldevji ko namastey kiya.
maa ke aanchal me aate hi Abhigyaan ka bukhaar kamjor ho gaya. Abhigyaan Kavitaji ke pallu ke saaye me let gaya . Baldevji uthkar Abhigyaan ke paas aaye aur usake sar per hath ferate hue bole, ” beta ….. ab tumhe yaha akela nahi chorenge ham. ab tum hamari family ka hissa ho tumhe hamare sath gwalior chalna padega. “
Abhigyaan ne maa ke aanchal se Baldevji ki taraf dekha, use Baldevji ki aankho me aaj apne pita dikhaayi de rahe the. wo Baldevi ko dekhker muskuraate hue bola, ” haa papa…………….. ab mujhse bhi akele nahi jiya jata. mujhe bhi aap sab ka pyar chahiye. “
Dipaanker ne baat katate hue kaha, ” aur me kya tera dushman hu jo mujhe chor ke jaayega …??? :P:P “
Dipaanker ki baat per sab log has pade. kuch der baate karne ke baad dipanker sab logo ko unke room tak chorkar aaya. Abhigyaan ko apni goad me uthaakr Monu room tak le gaya. Monu ne change kiya aur aakar Abhigyaan ke paas let gaya. Abhigyaan ne apna sar Monu ke seene per rakh liya. Monu ne Abhigyaan ka badan chhua jo buri tarah bukhaar se tap raha tha. jabki Monu ka jism ekdam thanda rakha tha. Abhigyaan ko Monu ka spersh bahut thanda aur achcha laga. Monu ne bhi ye mahsus kiya ki Abhigyaan ko isase raahat mil rahi he. to usane apne badan se saare kapade alag kar diye. aur Abhigyaan ke jism per to pahle se hi sirf ek undi thi.Monu ne Abhigyaan ko apne uper leta liya . do jawaan jism itane kareeb the fir bhi aaj unke ander se vaasana ki aag nahi balki pyaar ki bauchaar bahar aa rahi thi. Abhigyaan ne Monu ke jism ke har ang se apna ang chapet liya tha. use bahut thandak mil rahi thi. Monu Abhigyaan ke jalate badan ki garmi ko pyar ka prasad samjh kar pee gaya tha. kareeb 1 ghante baad Abhigyaan ko neend aa gayi fir bhi Monu raat bhar wese hi leta raha Abhigyaan ko baanho me liye.
Subah jab Abhigyaan ki neend khuli to usane dekha ki Monu use apni baajuo me kase hue leta tha. use kal raat ki saari baate yaad aa gayi. uski aankho se aanshu baras pade. ek do aanshu jab Monu ke seene per pade to Monu bhadbhadaakar uth gaya aur pareshaan hokar Abhigyaan ka matha chhukar dekhate hue bola., ” tum theek ho na Abhigyaan ???”””
Abhigyaan rote hue bola, ” me to theek hu per mujhe itana pyar doge to me sach me kahi pagal na ho jaau. mene sapne me bhi nahi socha tha Monu ki tum jesa jeevansathi meri jindgi me aayega. tumane meri jindgi ki har kami ko pura kar diya.
I LOVE U MONU. “
Monu Abhigyaan ke aanshu ponchate hue bola, ” mene wahi kiya jo jeevansathi ek dusre ke liye karte he. ab ham do kaha rahe he ab to ham ek he ….. hai na ???
Abhigyaan muskuraate hue bol pada , ” haa ab se ham ek he “
Kuch dino baad Abhigyaan Monu ki family ke sath gwalior hi aa gaya. usane apna business yahi shuru kar diya tha. ek bahut hi saade prograame me Monu aur Abhigyaan ki shaadi ek mandir me karwa di gayi. Monu aur Abhigyaan aaj Kavitaji aur Baldevji ke sath ek khushhaal life jee rahe he. lekin samaaj me abhi bhi kuch log cmmt paas kiye bina nahi maante. per Baldevji aur unke pariwaar ne ab is sab ki perwaah karna chod diya he. ab is kahani ko yahi viraam deta hu. wese dosto ek baat kahu shayad aapko bharosa ho na ho jab bhi me koi kahani likhata hu to me us story ke characters se bahut attach ho jata hu. kahani ke khatm hote hote wo characters mere dost ban jaate he. unhe alvida kahne me badi taklif hoti he. per yahi to jindgi he.
Chalte rahna
Chalte rahna
Aur bas chalte rahna…………………………………..
_______________ Samaapt