MAA KA LAADLA BIGAD GAYA – 4

Click here to read Maa Ka Ladla bigad Gaya – Part 3

Agle din subah subah hotel ke bahar monu ki car aakar ruki. Abhigyaan wahi gate per wait kar raha tha monu ka. Dipaanker aaj bhi business meet me busy tha.monu ko dekhte hi usane ek smile di jiske badle me monu bhi muskura diya. Abhigyaan white t shirt aur blue jeans me bahut janch raha tha. udher monu red shirt aur black trouser me aaj khile hue gulaab sa mahak raha tha. monu ke bagal me aakar abhigyaan baith gaya. aur monu ne car ko gwalior ki sadko pe daudana shuru kar diya. dono ke beech me baatcheet shuru hui.

Abhigyaan ne kaha,” monu tum dikhane me kaafi macho aur handsome ho . definitly abhi tak koi na koi to life me aaya hoga. m I right ??”

Monu ne haa me sar hilaate hue kaha,” haa tha ek cllg frnd . lekin ab uski shaadi ho gayi he. aur wo apni jindgi me khush he “

Abhigyaan ne baat aage badaate hue puchha , ” use sachcha pyaar karte the kya tum ??”

Itane me car JAIVILAASH PALACE ke ander enter hui. italian architecture per based yah palace dekhane me kisi european palace ki maafik lagta he. car ko park karke dono ander enter hue. ander bahut kam log the. waha bane musieum ka muaaina karte wakt abhigyaan ne fir se apna wahi sawaal dohraya to monu ki aankhe dabdabaa gayi wo bhaari aawaj me bola, ” Abhigyaan, kuch manjile esi hoti he jo safar me milti to he lekin hame kismat ke hatho majboor hokar aage bad jana padta he nayi manjil ki talaash me. me use beintahaa chahta tha lekin wo apni family ko kisi keemat pe khona nahi chahta tha. isliye mujhe use aajad karne ke alaawa aur koi chara nahi tha. pyar ka matlab kisi ko baandhkar rakhna to nahi hota na. pyar to ek khushbu he har bandhan se aajad. esa nahi he ki mujhe usake jaane se koi takleef na hui ho. me hi jaanta hu ki wo din mene kis tarah kaate . aur tabhi ye faisla kiya ki apni family ko apne gay hone ke baare me bata dunga jisase ab agar me kisi ladke ko apni jindgi me shaamil karu to uska aur mera rista khuli kitaab ki tarah ho.me ek aur sadma nahi jhel paaunga . isliye ghar me bata diya. aur bhagwaan ka shukr he maa ne mujhe samjha aur me jesa hu wese hi mujhe pyar diya. haa papa naraj he per mujhe ummeed he maa unhe bhi mana lengi.

Kher ye to meri jindgi ki kahani thi tumane kuch nahi bataya mujhe apni love life ke baare me .”

Monu ki baate sunate hue abhigyaan na jaane kis dunia me pahuch gaya tha. monu ki aawaj se uska dhyaan wapas lauta aur wo ek feeki si hasi haste hue bola,

‘” Monu meri jindgi ek saanp sidi ke khel jesi he. jaha se shuru ki thi jindgi wahi laut ke waapas aa gaya. tumhe to pata hi he ke mere daddy army me he ye baat 5 saal puraani he me apna M.B.A complete karke ghar wapas lauta tha us wakt papa ki posting chandigarh me thi. papa tab brigedier the. papa ki offc me ek captain tha meri hi umar ka unmarried . wo aksar papa ke paas kaam se ghar aata rahta tha . usase mujhe jaane kab pyar hua pata hi nahi chala. wo bhi mujhe pasand karta tha. ham dono bahut jaldi pyar ke dariya me gote lagaane lage. ek baar papa delhi gaye the 3-4 din ke liye aur maa . nanaji ki yaha bhaiya ko lekar gayi hui thi me akela tha ghar pe. to mene use bula liya tha. ham log pyar karne me itane pagal ho gaye the ki yaad nahi raha ki ghar ka main gate khula he. usi wakt papa apni meeting cancle ho jaane ke karan wapas aa gaye.
Hum dono ko us haalat me dekhkar wo bahut bhadake. mujhe maara pita aur us captain ko bhi bhala bura kaha. wo chala gaya. shaam ko piataaji ka gussa thoda thanda hua to papa ne us captain ko wapas bulaya aur mujhe bhi bulaakar apne paas baithaya. wo ham dono se safaai sunana chahte the,

Mene to kah diya ke me us captain se pyaar karta hu. per wo dhokhebaaj insaan bola, “Sir me thode sharaab ke nashe me tha isaliye me bahak gaya . srry sir. i m nt into men. i m a str8 guy. believe me sir. “

Usake baad mujhe kuch bhi sunaai nahi diya bas uske wo lafj yaad rah gaye. papa ne mujhe ghar se nikaal diya aur mene apna khud ka business shuru kar diya aur aaj achcha khaasa business jam gaya he. bas tab se mujhe wardi waalo pe bharosa nahi raha.”

Itana kahkar abhigyaan ki najar monu ke chehre per padi to monu ko ye baat chubh gayi. usane baat katate hue kaha, ” Lekin saare force waalo ko ek najar se dekhana kaha ki sahi baat he. har deptt me achche bure log hote he.”

Baato ke silsile u hi jaari the. aur is tarah dono ek dusre ko samjh rahe the. kahte he na baato se har masla suljhaya ja sakta he.
kher waha se nikal kar unki car gwalior fort ki taraf serpat daud gayi. car me abhigyaan ne fir se monu se ek sawaal kiya, ” To ab life ke baare me kya socha he. koi mila abhi tak ……”

Monu ne abhigyaan ki aankho me aankhe daalkar kaha, ” Haa ek ladka pasand to aa gaya he maa ko bhi pasand he. dekhate he baat kaha tak badti he”

Monu ki ye baat abhigyaan ko jaane kyu bahut buri lag gayi wo buri tarah tilmila gaya. ek din usi abhigyaan ne monu ka rista thukra diya tha fir aaj usake man me esa kyu ho raha he.abhigyaan ne kuredate hue puchha,” Kya naam he uska ??
Karta kya he ??
Kya me jaan sakta hu usake baare me ??”

Monu ne abhigyaan ka chehra dekhate hue kaha, ” Tumhaare jesi hi personalty he. per use police waalo se koi alergy nahi he. dil ka bahut achcha he. business karta he. maa se uski bahut achchi patati he. me jab bhi uski aankho me dekhata hu to lagta he wo kahana chah raha ho

“I love u monu . I really love u.”

Abhigyaan ka sar achaanak se dard karne laga to monu use lekar apne ghar aa gaya. kavitaji abhigaayn ko dekhker khushi se uchhal padi. lekin agle hi pal unhe uski fiker hone lagi.monu abhigyaan ko apne room me le gaya. peeche peeche maa sardard ki dawaa le aayi. dawaa khilakar monu ne use apne bed pe lita diya. itane me police station se urgent call aa gaya to monu ko jana pada. kavitaaji wahi paas me baith gayi.

To be continued ……………

Comments