MAA KA LAADLA BIGAD GAYA -3

Click here to read Maa Ka Ladla bigad Gaya – Part 2

Abhi sofe pe baithate hue bola,

” srry mujhse milane ke liye aapko yaha tak takleef uthaani padi . wese me waha aa hi raha tha per achaanak offc ka kuch kaam aa gaya.
wese aap ka kya karte he monu ?? “

monu ne maa ki taraf dekha to maa ne isharo me hi use permission de di. monu ne kuch hichkichaate hue kaha,

” actually I m in POLICE ………………………

Dy. S.P. ki post per “

police ka naam sunkar hi abhigyaan ne dipanker ki taraf dekha. jese kaha raha ho ki ye baat pahle kyu nahi batai. aur dipaanker ishaaro me hi mmaafi maang raha tha. abhigyaan kuch stress me aa gaya aur kuch sochate hue bola, ” dekhiye aunty mujhe ek soft hearted insaan chahiye jo mujhe aur meri feelings ko samjh sake. jiski life me risto ki bahut importance ho. jo sirf aur sirf mera hokar rahe. mera galat matlab na nikaaliyega lekin me kisi police ya army waale se koi relation nahi banana chahunga “

ye baat sunate hi kavitaji aur monu ke chehre per udaasi chha gayi. monu ne maa ko chalane ka ishara kiya lekin kavitaaji ne aakhiri koshish karna jaruri samjha aur isliye wo abhigyaan se boli,

” dekho beta har defence ya force service ka ladka bedil ya bahut rukha ho ye sach nahi he. aur tumhaari ye soch se bhi me sahmat nahi hu. isliye me chahti hu ek baar tum monu ke sath time spend karke dekho use samjhane ki koshish karo . tab tum jaanoge ki wo kitana naram dil ladka he. “

abhigyaan me rukhaai se jawaab dete hue kaha,

” srry aunty lekin mujhe apni life se jo sikhane ko mila he usake aadhar per hi me decision leta. aur me chahta hu ki me jis kisi ko bhi apnaau to pure man se ….

aadhe adhure man se nahi……”

kavitaaji uthate hue boli,

” theek he beta jesa tumhe theek lage. lekin mujhe to tum pasand aa gaye the. kher ye to kismat ki baate he. kaun kiski kismat me h…………rab jaane “

monu aur kavitaji ko abhigyaan bahar tak chorane aaya. aur ek benatijaa mulakat ke baad kavitaji apne bete ke sath gwalior wapas aa gayi. kavitaji ne saaf saaf dekha tha ki monu ko abhgyaan pasand aa gaya tha. usake chehre per ek chamak si aa gayi thi. lekin wo kya kar sakti thi apne bete ke liye jab abhigyaan hi taiyaar nahi tha.

is baat ko 2 month ho gaye the kavitaji is baat ko bhulane lagi hi thi ki ek din dipanker ka phone aaya,

” hello aunty namastey……………………
me dipanker bol raha hu abhigyaan ka dost noida se pahchaana ?”

kavitaji ke chehre per ek chamak si aa gayi. wo exited hote hue boli,

” ha beta pahchan liya . aur kesa chal raha he sab kuch. abhigyan kesa he ?? use koi mila ya nahi “

dipanker ki aawaj dheemi ho gayi aur wo kuch sochate hue bola,

” mujhe aapse ye kahna tha ki mujhe bhi lagta he ki abhgyaan ke liye monu se achcha jeevansathi nahi mil sakta. aur me ye bhi janta hu ki abhigyaan ko bhi monu pasand aa gaya he kyuki aap logo ke jaane ke baad wo koi na koi bahaane se aapke baare me baat karta rahta he. aur me apne dost ko achche se samhata hu ki wo mujhse kya kahna chah raha he. me chahta hu ki kam se kam ek baar dono ( abhigyan aur monu ) pura din sath sath ghume fire . to shayad baat ban sakti he.”

kavitaaji ne khush hote hue kaha,

” ye baat to mene us din bhi kahi thi pr abhigyaan ne hi mana kiya tha. aur use monu ke police ke job se elergy he uska kya hoga ??”

dipanker ne gambheer hote hue kaha,

” actually aunty baat ye he ki abhigyaan ki maa to is dunia me bahut pahle se nahi he sath hi abhgyaan ke papa ne kabhi bhi abhgyaan ko wo pyaar nahi diya jiska wo hakdaar tha. na kabhi use samjhane ki koshish ki. uske dad army me he. isliye uske dimaag me ye baat ghar kar gayi he ki saare force waale ese hi patthardil hote he “

kavitaaji ne thandi saans chodte hue kaha,

” hmmmmmmm……………………..
to baat ye he . wahi me kahu ki uski soch itti negetive kyu he ??
kher use convince kese karoge meeting ke liye “

dipaanker ne uchhalte hue kaha,

” ek achcha mauka hath laga he . isliye mene aapko call kiya he. abhigyaan perso apne business ke silsile me gwalior jaa raha he waha do din tak rukane ka prograam he. me chahta hu ki monu aur ahigyaan dono ko ek baar milwaa diya jaaye to kesa rahega. lekin hame ye baat abhigyaan se chhupani padegi warna wo milane ko raaji nahi hoga….”

kavitaji khush hote hue boli,

” haa beta mauka to achcha he…
ye to batao abhigyaan kaha stay karne waaala he aur kya tum aaoge uske sath ??

dipanker apni baat ko aage badata hua bola,

” jee me bhi aa raha hu. ham log hotel AADTIYAAJ me stay karenge. “

kavitaji ne kuch sochkar kar kaha ,

” theek he ab mera plan suno aur wesa hi karna….”

aur kavitaaji ne saara plaan dipanker ko samjha diya .

do din baad. jagah hotel aadityaaj ka confrencing hall. jaha abhigyaan meeting me busy he . kareeb ek ghante baad wo meeting se free hote hue apne room me aata he kii. tabhi dipanker ka phone aata he ki wo jaldi se police station aa jaaye kuch prbm ho gayi he. abhigyaan heraan pareshaan sa police station pahuch jata he, dipanker ko dekhate hi wo puchata he ki baat kya hui,
dipanker naatak karte hue bola,

” arey wo me jara market aaya tha to kisi me meri pocket maar di . mere saare credit card paise usi me chae gaye. bas usi ki report likhwaane aa gaya hu. “

abhigyaan ne thoda sa tasallii ke sath kaha,

” to chalo ander officer se mil lete he..”

iatana kahkar dono jese hi chamber me ghuse to sann rah gaye. ander monu apni policiya wardi me bahut handsome lag raha tha. ek baar fir abhigyaan ki najare monu k najaro se takra gayi.
dono log aashchryachkit bhi the aur kahi na kahi khush bhi the. abhigyaan ne fir se hath badaate hue kaha,

” what a pleasant surprise…….????
to tum yaha posted ho ?

monu ne khud ko sambhaalte hue kaha,

” haa me yahi posted hu. kahiye yaha kese aana hua ??”

abhigyaan ne tafsil se saara kissa bayaan kar diya . uski baat sunker monu ne unhe tasalli dete hue kaha,

” aap fikar na kare me puri kosish karunga . “

monu ne ek hawaldaar ko bula kar kaha,

” sahab ki reoprt likh lo …..
dipaanker aap is hawalldaar ke sath chale jaayiye aur tafsil se ise note karwa djye ki ghatna kese kab aur kaha hui ?”

dipaanker to waha chala gaya ab chamber me abhigyaan aur monu akele the. monu ki dil ki dhadkane tej ho rahi thi. usane apna dhyaan baatane ki koshish karte hue kaha,

” yaha gwalior me kese aana hua ??”

abhigyaan ne use apni business trip ki baat batayi. wahi chamber me gwalior fort ka ek bada sa painting laga hua tha use dekhkar abhigyaan ne usake baare me kaafi saari inquiry ki to monu ne use waha apne sath ghumane chalane ka proposal diya jo abhigyaan ko pasand bhi aa gaya. jese hi dipanker report file karwaa kar wapas aaya to abhigyaan ne fort jaane ki baat ki to dipaanker ne sar dard ka bahana bana diya to monu aur aabhigyaan dono fort ghumane akele chale gaye.

fort per jyada bheed bhaad nahi thi. monu aur abhigyaan sath sath chalte hue yaha waha ki baate kar rahe the. kaareeb 2-3 ghantey ki baat cheet me hi dono kaafi ghul mil gaye the.
abhigyaan ko monu ka behaviour kaafi pasand aaya tha. uske behaviour me koi akad ya poliya ruaab nahi tha. bilkul aam ladko ke jesa hi tha.

jab fort se waapas chalane lage to abhigyaan ne monu se kaha,

” agar tumhe theek lage to ka kya tum mujhe gwalior ghumaa sakte ho kyuki me kal raat ko wapsa chala jaaunga”

monu ke chehre per ek sath khushi aur dukh ki lakire aa gayi. usane turant haa kar di. dono wapas chal diye. aasman aaj bahut saaf tha. shayad ab abhigyaan aur monu k risto pe chhai dhundh bhi chhat rahi thi

Comments