Gay pyar ki kahani – DHAULPUR KA KILA
Gay pyar ki kahani
Dosto rajsthan ki dharti jitni sukhi hui he waha ke logo ke dil me utnna hi pyar jyada he. rajsthaniyo ki bheegi aankhe jaane kitane registaano ki pyas bujhane ke liye kaafi he .to aapka RAJVEER aaj chambal nadi ke kinaare base dhaulpur ke sunsaan aur atit me jaa base kile se judi ek kahani lekar haajir he. kahani ka mukhya paatra – abeer he. ek natkhat maasum desi naujawaan aur puri kahani usi ke muh se sunte he.
Bhailog yo kissa koi do baras pahle ka tha, ham saare chhore dhaulpur kile gaye the picnic manane. ham 5 chhore the wahaa. tabhi uha ek foreigner aaya ghumane waste. gora lamba chaudi chhati, bhure baal umr koi 25 baras naam bada chhokha tha RIAN .
ham sab sab ke chhore baavdi me nahaa rahe the . Ib vo vaha aakar kile ke photo khinchane laga. hamare photo bhi u ne jam ke liye. kachha pahne ham sab photo khinchwa rahe the. par vo mhari taraf ghur ghur ke dekh rahya sa. Ib mene sochya ki ye ki chaave he. ham log nahakar apna badan pochh rahe the. Ib vo humare paas aakar bola,
‘ Hey dude. would u help me ?”
Ib me thahraa theth gawaar me kya jaanu angreji. me bola , ” oye, ke bol raya he ?, ke matlab he thara ?”
vo darte hue bola, ‘ pls help me….”
Ib me itna bhi murakh na su ke yo na jaanu ki help ka matlab ke howe he. me bola, ” ke baat he chhore, raasta bhul gaya se ke ?”
Vo bichara mhara hath pakad ke kile ki taraf dekhkar bola, ” tell me history abt this fort ”
Ib humare samajh me aaya ki yo kabootar kila ghumana chaah reya se. mene fataafat kapde pahne aur saare chhora nu bola ki me abhi aaya. usko lekar me kila ghumane lagya. vo danadan photo le reya tha. yo kareeb ek ghanta ho gaya to me bola,
” Ib me jaau ???
U ne mhara hath pakad liya aur humne deewar se chapet ke bola, ” u r very handsome, may i kiss u ?”
Me to ghana chaunk gaya aur koi jawaab na de paaya vo ise mhari ha samajha aur usne humare hotho pe apne naram naram hotha se chumana chaalu kar diya, Ib humne ghana gussa aaya aur use dhakka diya to vo dur ho gaya.
Me bola, ‘ baavala ho gya he ke ?”
Usne Ib kuch na kaha. us vakt mhari umr koi 26 ki thi. badan jawaani se bhara tha. kasarat ka shauk tha. to jism dekhane layak tha. humne use vahi chhoda aur apne dosto ke paas aa gaya. sab ke sab cricket khel rahe se to ek khiladi kam pad gaya.
Humare ek dost ne kaha ,” yo angreji kabootar ko bula lewe ke?”
Sab maan gaye aur ek chhora use bula laya. vo taiyar ho gya.
Khel shuru hua. yo kabotar to khel me bada hoshiyar rawe tha. Ib kareeb 2 ghante khelne ke baad sab chhore bhukh se pareshan the to khaane ki taiyari hone lagi. ek dost ne us angrej ko bhi khaane ko kaha to vo bhukkad jhat se maan gaya. Ib mhaane yaad aaya ki kile me shivji ka mandir se.
Me chhora se bola, ” me Ib aaya darshan karke ”
Itnka kahkar me kile ke andar chala gaya. me puja karan lagya to dekha ki vo angrej kabootar bhi wahaa aa gaya se. puja ke baad me chalan lagya to vo bola, ” I m sorry , but I really like u ”
Humne uska chehra dekhke lagya ki vo maafi maang reya se. Ib mene bhi use maaf kar diya. vo kabootar muskurane laga. vo humare paas aaya aur apna card dete hue bola, ” here is my details, if u would feel in future that we might be frnds call me”
Me card le ke rakh liya. Ib khana khakar vo jab jaane laga to usne humare ko dekha uski chehra udaas ho gaya tha. kher vo chala gaya aur ham chhore bhi picnic manaa kar chale gaye.
Ib raat ko byalu karne ke baad jab me bichhone pe letya to uska chehra aankho ke aage aa gya. saari raat karwat badalta reya. fir man me sochya raat gai baat gai yo pardesi se humne ke vaasta. lekin me va ko bhul na paya. o ki yaad kabhi kabhi aa jati to kaleje me faans si chubh jaati thi. man kai baar karta ki usku fir se dekhu par yo mumkin na tha. me aksar ghuman vaaste us kile pe chala jaave tha. ek din me jab us kile ke chabutare pe bethya aasman ko dekh reya sa. Ib humne laga koi bula reya se mhaane. palat ke dekhya to RIAN khada reve sa. me to ghana khush hua. daudkar uke paas pahuch gaya. vo bhi khush tha. u ne apne bag se ek lifafa nikala jisme hamare photo the va din ke. humne dete hue usne ek chitthi bhi di vo shayad usne hindi dictionary se pad pad ke likhi si. vo dete hue bola, ‘ tumhara yaad aata.”
Humne uska chehra dekhya to vo hasne ki jhooti koshish kar reya sa. Ib me kya bolta humne khud samajh nai aa reya sa. usne meri taraf hath milane vaaste badaya to humne uska hath jhidak diya, vo udaas hokar bola, ‘ sorry.. ”
Humne usko pakad kar chhati se laga liya aur rote hue bola, ‘ hamare rajsthan me bidai gale milke dewe se kabutar …”
Vo to ghana khush ho gaya aur bola, ‘kabutar means….?”
Me haskar bola , ‘ thara naam ”
Vo khush ho gaya. to bhai RIAN yo bida ho gaya. aur me apni kheti baadi me lag gaya . me usku ghana yaad karta tha. kai baar ro bhi leta tha . Ib vakt beetan lagya kareeb 6 maheene beet gaye. mhaare pitaji ne mhari shaadi pakki kar di. par me khush na tha. jaane ke baat thi jo mhaane andar hi andar kha rai thi. ek din khet pe paani de reya sa to pitaaji bolye ” ke baat he chhore. Ib me dekh reya ki tu shaadi ki baat se khush na se. ?”
Ib me chup hi reya. ek din man nai maanya to RIAN ko phone kiya. udhar se aawaj aai, ” hello, RIAN speaking..”
Ib me kya bolta humne khud samajh nai aa reya sa.
Ib me chup ho gaya ke bolta . angreji to aawe na thi bas itna bola, ” dhaulpur, india…..
tum good , I good…”
Itna kahkar gala bhar aaya mhara me ro padya. udhar se RIAN bola, ‘ me aata , pls don’t cry., tum nai akela . ham sath hota …”
Ib mene phone rakh diya, yo ke ho reya tha humne, us pardesi ne mhaare aankho ki neend uda di thi. yo jeth ka maheena lag gaya sa. phone kare koi 10 din beet ho ve se. ki uska phone aaya, bada khush hoke bola, ‘ ham aaya india, tum aata dhaulpur ka kila…!!”
humne saare kaam chhodkar kile ki taraf bhagya. RIAN gate pe khada mhara intejaar kara reve sa. me daudkar uske gale se lag gaya, Ib vo bola, ‘tera kabootar aata, pyar karta…….
RIAN TERA rehta.”
Humne aaj pata chalya yo pyar ka bandhan tha jo humne uski taraf aur use mhari taraf khinch reya tha.me rotye hue has pada aur bola, ‘RIAN, Ib yo janam to thaare naam kar diya mhaane. thara bholapan humare dil ko bha gaya, ”
Vo mhaari baato ka matlab na samjhya to me bola, ‘ I LOBE U RIAN. ”
Vo mhaari surat dekh ke bola, ‘ me pyar karta tum ”
Me bola , ‘ mhaane chhodkar to na jaayega ”
Vo mera matlab nai samjhya Ib me chup ho gaya. vo humne rest house le gaya. mhaare liye chai mangwai aur mhara hath pakad ke bola, ‘ mere sath ghar jata? ”
Vo to mene sochya hi nai tha ki ke karna he. kuchh der baad me bola, ‘ ghar pitaji akele, no jata”
Ib vo naraj hokar bola, ‘ but i love u, ham jeeta tum sath, marta sath ”
Ib me himmat na juta paya ki uske sath chala jau. mene manaa kar diya. vo rone laga bola, ‘ ham indian nai, tum manaa karta, ham nai jata ghar, yahi marta…”
Humne use gale lagakar uske gaalo ka chuma . use bola, ‘ ye no he, tum mera love , aur nai…”
Itta bolkar me rote hue ghar aa gaya. me dar gaya ke gharwalo se ke kahunga. bahut roya shayad humne pahli baar pyar ka ahsaas hua tha. mhara kaleja chhalani ho gaya. raat bina byalu karke hi so gaya. RIAN ki ghani chinta hone lagi . kahi kuchh kar na leve. duje din sabere hi me rest house gaya
Vaha ke guard ne bataya ki saahab to chale gaye. Ib me vahi sidiyo pe beth ke rone laga. uha se me kile pe aa gaya. aaj man kiya ki yahi mar jau. man ghana bechen ho reya tha to socha shankarji ke darshan kar lu. andar gaya to dekhya, RIAN vahaa bethya ro reya sa. is ek raat me maane samajh aa gaya tha ki me uske bina jee na pau. humne uske paas jaakar pukara, ‘ kabootar ro reya se.._?”
Humari aawaj sunkar usne mhari taraf dekha. mene saamane paakar meri chhati se lipat gaya. Ib mhaane use pyar se chumate hue kaha, ‘ I go ghar tumhara sath ”
Vo kisi bachche ki maafik ro pada. ham dono ne shankarji ka aashirwad liya aur apne pitaji ko mene apna faisala suna diya. unhone humne ghar se nikal diya par maa ro ri se. Ib me RIAN ke desh aa gaya. yaha do baras pyar me do pal jese beet gaye. aaj do saal baad dhaulpur aaya hu RIAN ke sath pitaji aur maa se milane. unhone humne maaf kar diya se. aaj fir me kile pe bethya soch reya sa ki RIAN aakar puchhya, ” Ib ke hua ABEER ? ”
” No its o.k., I was just thinking how we met, and came close, every memory related to this fort ”
RIAN ne humare gaal chumte hue kaha, ‘ yo galat baat se abeer, Ib humare hote hue mhari yaado se kaam chalavoge to mhara ke hovega? ”
Ib me kaun sa piche rahta mene haskar use pakad kar chumte hue kaha, ‘ are yo to me bhul gaya sa ”
Hum dono ke pyar ki kahani isi kile ki den thi.
__________________RAJVEER