Gay love story – Baadal

Gay love story

Dosto aapka Rajveer aaj khada he. Jaisalmer ki haweliyo par aur sun raha he vaha ki hawao me gunjti ek prem kahani. Jab bhi jaisalmer ke aasman par badal chaate ek 6 saal ka bhola sa ladka daudkar haweli ki chhat ki taraf esa bhagta jese koi kimti cheej use mil gai ho.Ghanto vo un baadlo ko dekha karta. Esa lagta jese use kisi ka intejaar he.
Saalo beet gaye lekin uska baadalo ke liye pyar na badla.
Aaj vo ladka 25 saal ka gabru jawaan ho gaya he. Baal gunghrale, bhuri aankhe, kano me bali, kad 5′ 9″ ,rang gora aur naam Vikram Singh.
Maa baap bachpan me hi gujar gaye. Uske chacha ne use pala. Vo Vikram ko bahut pyar karte the. Vikram ne guide ka kaam shuru kar diya tha.
Aur dusri taraf Australia ka shehar sydney. Vaha ek ghar subah ke 8 baj rahe he. Karan ko office bhagne ki jaldi he. Pura naam Karan kapoor. Umr 27 baras jim ka behad shaukin. Kad 5′ 11″ , rang gora, aur body to kisi sanche me dhali jaan padti thi. Ek it company me asst general manager.
Family ke naam par bas Karan aur uski maa thi. Uske dad ka 5 saal pahle intkal ho chuka tha. Karan din raat kaam me duba rahta tha. Lekin uski maa ko uski shadi ki chinta khaye ja rahi thi. Aur ek din vo Karan se gusse me boli.
‘ dekh Karan ya to tu mere sath india ladki dekhne chal ya mujhe thoda sa jahar de de. Jisse me mar jau to tujhe jesa theek lage karna. ”
Maa ka emotional atyachar kam kar gaya. Aur Karan India ladki dekhne jane ko raji ho gaya.


Karan apni maa ke sath delhi aa gaya. Lekin yaha aate hi Karan ki maa ki tabiyat kuch kharab ho gai. Vo Karan se boli.
‘Karan me tere sath jaipur nahi ja paungi. Esa kar tu chala ja vaha aroraji tujhe kuch ladkiwalo se milwa denge, tujhe jo bhi pasand ho bata dena. Me tab tak yahi teri mausi ke pass rukungi.
Karan beman se jaipur aa gaya. Yaha aakar pata chala ki aroraji ko urjent kam se pune 2 din ke liye jana pad gaya he. Vo ab 2 din baad hi milenge. To Karan ne socha vo bhala do din tak kya karega. Usne jaisalmer ghumne ka plan banaya.. Usne ek car hire ki aur chal diya.
Udhar Vikram apne chacha ke sath baajar me kharidari kar raha he, uske chacha use kah rahe,’ chore, tu kab tak mhari ungli pakad ke chalega. Duniadari seekh”
Lekin Vikram ka dhyan to kahi aur hi tha. Uski najar jaisalmer ke uppar aate kale ghane shyah baadalo par thi. Vo khush hokar bola,
‘ chacha, baadal”
Itna kahkar vo haweli ki chat ki taraf dauda. Chhat pe chadkar bola,’ chacha, aaj ke baadal nirale he, dekhna ghana pani aawega, itti jor ki baarish howegi”
Neeche se uske chacha use pukar rahe the, ‘ neeche aa ja chore, baadal se itta moh theek na he, ye kisike hoke na rahe he”
Aur tabhi un baadalo ne jhoomkar barsana shuru kar diya. Vikram paanı bheegta hua neeche road par chala ja raha he, tabhi ek car uske bagal se rukti he,ek damdar aawaj sunai deti he.
‘ Aye suno, yaha koi achcha hotel he”
Vikram ne palatkar dekha.
Karan ka khoobsurat chehra dekhte hi vo to jhatka kha gaya. Agle pal apne aap ko sambhalte hue bola,’tourist he, guide chahiye?”
Karan uski bat par jhunjla gaya vo bola,’ jitna pucha he utna batao, faltu ki bakwas mat karo”
Vikram mafi mangte hue bola,’ ji aage se right le lijiye, ek achcha hotel he”
Karan ne ek najar us bheege hue Vikram par dali aur agle hi pal uski car hotel ki taraf daud gai. Hotel me Karan ne reception par kaha,’ dekhiye mujhe do din ke liye kamra chahiye aur ha kya aap mere liye ek guide arrange kar sakte he.
Reception,’ sure sir ”
Karan ne room me aakar kapde utar kar fenk dıye .
Karan ko keval undie me hi sone ki aadat thi. Bed par girte hi vo thaka hone ke Karan so gaya.
Subah jab doorbell kai bar baji to vo chidkar utha usne jese hi gate khola to Vikram ko dekhte hi bola,’ tu, tu yaha kese”
Vikram Karan ka undie me jawan shandar badan ko dekhta hi rah gaya. Fir agle hi pal kahne laga.
‘ Hukum, mhare se achcha guide jaisalmer me ko ni, saare loga yahi keve, vese me apni taarif na karu par sach to bolna hi pade se. Matarani ki kasam.”
Karan ka gussa ekdam se chumantar ho gaya. Use mahsus hua ki ye to bahut bhola he. Usne use kamre bulakar bethne ko kaha aur khud fatafat nahane chala gaya.
Vikram bola,’ hukum akele hi aawe he , bibiji ko nahi laye.”
Karan andar se haste hue bola,’yaar me to abhi tak kunwara hu, koi bhi ladki mujhe pasand hi nahi karti.”
Vikram,” kyun majak kare he hukum, aapko kaun na kar pawegi. Matarani ki kasam pure jaisalmer me aap kesa banka naujawan ko ni”
Karan ,’ to hi koi ladki dund de mere liye.”
Vikram,’ hukum kyun mujh gareeb se maskhari kare he, are aap ke layak yaha kaun milegi, yaha to sab teth gawaar he”
itne me Karan bathroom se undie pahne towel se apna jism ponchta hua bahar aaya. Vikram Karan ka bheega badan dekhkar besudh sa ho gaya. Karan ne use u dekhte hue pakad liya dono ki najar ek pal ko mili Karan bola,’kyu re kya dekh raha he, aaj tak koi mard undie me nahi dekha kya?”
Vikram jhenpte hue bola,’ kuch nahi hukum ese hi.”
Karan ne kapde pahne aur vo dono. Jaisalmer fort pahuch gaye. Vikram Karan ko us fort ki history, art, culture ke baare me tafsil se bata raha tha tabhi vo ek purane jang lage darwaje ke pass pahuche. Vikram bola,’ hukum yaha se ek khufia raasta mahal se dur thar me khule he”
Karan,’ tune mujhe bewkuf samjha he kya? Esa kahi hota he”
Vikram ekdam sakpaka gaya. Usne kaha,’ hukum, me sach bolu su, aapko bharosa dilana mhara farj he”
ye kahkar Vikram ne purane gate ko khola aur torch hath me lekar andar chala gaya. Karan ne use roka par vo ruka nahi. Jab 30 minute tak vo bahar na aaya to Karan ghabra gaya.
Karan jese hi us khufia surang me ghussa. Usne dekha ki vo rasta kafi sankra tha. Charo taraf makadi ka jaal tha. Yaha vaha par haddiya aur kankaal pade hue the. Karan ka dil Vikram ki chinta me ghabra raha tha.
U n mushkilo se kareeb 500 meter jane par use Vikram betha hua dikha. Vo jaldi se uske paas pahucha. Vikram use dekhkar khada ho gaya. Uske hath me registani khargosh tha. Vo khush hokar bola.
‘ hukum, ye registani khargosh he, ye us taraf registan wale gate se aaya. Mhane aapse kaha tha na, ki ye raasta thar me khule he.”
Karan ne uska hath pakda aur use khinchte hue bahar le aaya. Karan gusse me tha. Usne ek jordar thappad Vikram ke gaal par rashid kar diya. Aur cheekhkar bola,’ paagal ho gaya he tu, marna chahta he, tujhe guide kisne bana diya. pad is sign board ko saaf saaf likha he ki ye surang sadiyo se band he. Andar jana khatarnak ho sakta he. Tujhe pata nahi tha.”
Vikram ki aankho me aanshu chalak aaye. Vo rote hue bola,’mhane pata tha hukum, lekin kyun nahi jata andar, aapne mhari roji ko gali di thi.
Hukum peesa chahe na de, lekin me jhoot na bolu hu.”
itna kahkar Vikram rone laga.
Karan ko apni kahi baat par Vikram ke esa karne ki umeed nahi thi. Vo Vikram ko chulbula samajh raha tha lekin vo to bahut emotional aur bhola bhala banda nikala. Karan ne shayad apni yaad me kisi ko itne pyar se gale nahi lagaya tha. Vo to kam ke chakkar me pura mashine ban gaya tha. Uske saare emotion kisi kone me dab gaye the.
Vikram kisi school ke bachche ki tarah ro raha tha. Karan ne uske aanshu ponchte hue kaha ,’ Vikram, yaar me to majak kar raha tha aur tune seriously le liya. Tu pura bhondu he, kuch nahi samajhta.”
Vikram ne jhat se apne aansh pochte hue kaha ‘ hukum aap sach kahe ho!!!!
Me tu kuch aur hi samjhya tha”
Vikram ke chehre pe vahi muskurahat laut aai.
Vikram ‘ to hukum ab me aapne jaisalmer ki haweliya dikhau sa, chalenge na hukum”
Karan ‘ haa ab tujhe jo pasand ho vahi dikha de.”
vo dono car me bethkar haweliyo ki taraf chal diye lekin vaha pahuchte hi car kharab ho gai. Karan ne hotel phone kar car theek karwane ke liye kah diya aur khud haweliya dekhne Vikram ke sath chala gaya.
Vikram jo bhi use batata Karan turant haa kar deta. Tabhi aasman me gahare kale shyah baadal chane lage.
Vikram unhe dekhte hi deewana ho gaya vo chhat ki taraf daudta hu bola,’ hukum ese kale baadal sallo me ek do hi aawe he, hukum aawo na”
Vikram ko ese diwana hote dekh ek pal ko Karan ke andar ka bachpan jaag gaya vo bhi chhat ki taraf bhaga tabhi joro ki baarish shuru ho gayi. Karan ne Vikram se neeche chalne ko kaha. Lekin us ek pal ko Vikram sab bhul gaya aur baarish me bheegne laga. Karan na jane kyun vahi khada rah gaya.
Kareeb 1 ghante tak joro ki baarish hoti rahi . Karan Vikram ko aur Vikram baarish ko dekh raha tha. dono pani me tarbatar ho gaye the. Aur barsaat tham gai. Vikram kisi jadui dunıa se bahar aa gaya . uski najar achanak Karan pe gayi jo use ektak dekh raha tha.
Vikram,’ kya hua hukum, aap to mhare chakkar me bheeg gaye. Aap sahi kahe ho me pura bhondu su,”
Karan ekdam kisi haseen khwab se jaga aur Vikram ke gaal pe pyari chapat lagate hue bola, ‘ tu sach me bhondu he. ”
Karan,’ ha tu pura bhondu he lekin pyara bhondu he”
Karan aur Vikram neeche aa gaye. Unhe hotel vapas jana tha. Karan ne ek rikshaw kiya aur dono khuli hawa me bheege badan ke sath cheepak kar beth gaye.
Karan,’ tumhe baadal bahut pasand he?”
Vikram,’ ji hukum, inhe dekh ke mhara man na jane kyun baawara sa ho jawe he. Esa lage he ke koi manne bulawe he” Karan aankh maarte hue bola,
‘ kisi ladki vadki ka to chakkar nahi he?”
Vikram,’ hukum esi baat na karo mhane sharam aawe he”
Karan uske bholepan par muskura diya. Dono hotel me aa gaye. Vikram bola,’ hukum ab mhane jane ki manjuri dewo, me kal aa jaunga”
Karan ne uska hath pakad kar kaha ,’ pahle bheetar chalkar kapde sukha lo, nahi to sardi lag jayegi, fir chale jana”
Vikram, ‘ ham mamuli logo ke liye cheenta mat karo hukum, garib ko matarani pathar ka banawe he, mhane kuch na howega.”
Karan use jabardasti apne kamre me le gaya. Usne vahi apne kapde utar liye aur towel se badan pochne laga. Vikram u to sardi se kanp raha tha lekin Karan ka bheega aur undie pahne nanga badan dekhkar uske andar kuch sulagne laga .
Karan ne use vese hi khade dekhkar kaha,’ ab khada kyun he, ye apne geele kapde utar aur ye towel se badan ko saaf kar”
Vikram towel hath me lekar bola,’ hukum, bathroom ”
Karan,’ are tu to bada sharmila he, achcha vo samne he”
Vikram bathroom se kewal towel lapet kar baahar aaya.
Ab dekhne ki baari Karan ki thi.
‘ jawani se bharpur badan majboot banhe, ubhra hua seena, aur machliyo ki tarah fadakti janghe. Chehra subah ke suraj jesa. Jisme chamak to ho lekin garmi nahi.
Vikram ne Karan ko ese dekhte hue pakad liya. Dono ki najar ek pal ko mili aur alag ho gai. Karan ne drink ke liye Vikram se kaha to usne mana kar diya. Lekin Karan ne use jab kaha ki thodi si pi loge to sardi nahi lagegi to vo raji ho gaya. Aur fir jam ke daur shuru hue to kai jam ho gaye. Vikram ne bhi kafi pee lee thee.
Tabhi khana kamre me aa gaya. Karan ne Vikram ko bhi apne sath khane ko kaha.
Vikram par nasha puri taraf havi ho gaya tha. Vo ladkhadati awaj me bola,’ hukum ab mhane jane do”
lekin Karan ne use jabardasti khane ke liye taiyar kar liya. Khane ke bad jab Vikram jane ki kahne laga to Karan ne socha ki ise to bahut chad gai he. Ab ese me agar ye ghar gaya to jarur raaste me kahin pada rahega. Isliye Karan ne kaha ,’ Vikram mere sath bed par yahi aaj raat so jao tum kafi nashe me ho.”
‘ me jara bathroom hokar aata hu tum jab tak change kar lo, saamne vo shorts pada he pahan lena”
ye kahkar Karan to bathroom chala gaya jab lauta to dekha ki Vikram bed par so gaya tha. Lekin usne kapde change nahi kiye the. Karan kewal undie me sota tha. Vo bed par let gaya. Usne Vikram ka masum chehra gaur se dekha aur pyar se uske sar pe hath fera aur so gaya. Kareeb 2 ghante baad Vikram ne ekdam se karvat Karan ki taraf badali to uska hath anjane me Karan ke seene pe pahuch gaya . Karan gahri neend me tha. Vikram ki ungliya Karan ke nipple par rakhi thi. Jo uske sparsh se kafi sakht ho chuki thi. Ab Karan ki neend khul gai. Usne Vikram ke hath par apna hath rakh diya. Karan ko uska u hath rakhna bahut achcha laga. Use kuch shararat sujhi usne Vikram ke hath ko uthakar apni undie me chupe lund ke upar rakh diya. Vikram ka hath waha lagte hi Karan ka lund khada ho gaya. Vikram ki ungliyo par vo lund hullad marne laga ab Vikram ki neend khuch khuli lekin nasha uspar havi tha. Usne lund ko pakad liya. Shayad vo koi sapna dekh raha tha. Usne neend me hukum kaha to Karan ko laga ki Vikram jag raha he. Usne uske galo par thapki di lekin vo to neend me tha. Vikram fir bola,’hukum aap mhane bade achche lage ho”
Karan ektak use dekhne laga .usne jese hi uske mathe par kisş kiya . Tabhi Vikram ne apni aankhe khol di. Karan bhonchaka rah gaya. Vikram ne uski aankho me jhankkar kaha. Aap bahut neeke lage ho mane ko.”
Karan ne uske hotho par ek lamba kiss diya aur kaha,’ tu bahut pyara he”
aaj me tujhe pyar karna chahta hu”
Vikram,’ hukum to roka kisne he”
ye kahkar Vikram Karan se lipat gaya .
Vikram apna sar Karan ke seene par rakh diya. Use Karan ki tej hoti dhadkane sunai de rahi thi. Karan ne bade pyar se Vikram ko kapdo se alag kar diya aur kaha ‘ tu bhi bada handsome he Vikram”
Vikram ne sharam ke maare apna muh Karan ke seene me chupa liya. Bahar baarish joro se shuru ho gai. Karan bethaasha Vikram ko kiss karne laga. Vikram ne aankhe band kar li thi. Karan ne ek hath se Vikram ke cock ko pakad liya to Vikram machal gaya. Karan ne Vikram ki aankho me dekha jo Karan se vo sab chah rahi thi jo do pyar karne walo me hona chahiye. Karan ne use bed par litaya aur uske uppar kisi baadal ki tarah chhaa gaya us raat jam kar pyar ke baadal barshe. Vikram Karan ki baanho me hi so gaya. Jab subah Vikram ki aankh khuli to usne apna aur Karan ka nanga badan dekha use yaad aaya ki kal raat kya hua. Vikram ki aankho me do aanshu aa gaye. Ye kahna muskil tha ki ye khushi ke aanshu the ya gam ke. Usne bathroom me ja kar bath liya. Aur kapde pahnkar room me aa gaya. Tab tak Karan ki neend bhi khul chuki thi. Karan ne apni kamar se chadar lapette hue kaha.
‘ sorry, Vikram kal raat ke liye, me nashe me tha, i hope u understand.”
Vikram Karan ka matlab nahi samjhaa. Usne kahaa.
‘ pyar me maafi ki koi jagah na howe he hukum, aap aur ham ek dusre ko pyar kare he to maafi ko ni”
Karan ye sunkar ekdam chonk gaya,’ mene tumse kab kaha ki me tumse pyar karta hu”
Vikram par pahad sa tut pada uske kadam ek pal ko ladkhada gaye. Fir sambhal kar bola,’ to hukum kal jo hua vo kya tha, kya vo pyar nahi tha”
ye kahte kahte Vikram ki aankhe bhar aai. Karan uske paas akar uske kandhe par hath rakhkar bola.
‘ hosh me aao Vikram, ye pyar nahi tha, ye to jawan jismo ki kamjori thi, insaan kai baar ese mauko par bahak jata he, dekho na tum hosh me na me, its just an accident yaar”
Vikram ne apne kandhe par rakhe Karan ke hath ko jhatkte hue kaha,’ hath mat lagana mujhe, mujhe hosh aa gaya he, me sirf aap ko dosh nahi de sakta. Me bhi is paap ka bhagidar hu. Mujhe apne is jism se nafrat ho rahi he.”
Vikram,’ ye mera jism mhare liye kono mandir se kam nahi tha, lekin aaj ye mandi ban gaya. Mhare dil ne ye kese maan liya ke aap mhare se isk kare ho, mhane to apna sab kuch kho diya hukum, ab to me saari jindagi khud se bhi najar na mila paau sa, ab mhara pyar se aaj vishwas uth gaya”
aanshuo me duba Vikram ye kahkar bahar chala gaya. Karan to ye sab sunkar thaga sa rah gaya. Use Vikram ka u rona bahut hurt kar gaya. Vo Vikram se bhale hi pyar na karta tha lekin vo use u rota hua nahi dekh sakta tha, usne jaldi se nahakar kapde pahne aur hotel ke gate par aaya, use aaschary hua, Vikram car ke paas khada tha, Karan ne usse kuch kahna chaha isse pahle hi Vikram bol pada,’ aap ko do din me pura jaisalmer ghumana mhara kaam he, aaj se me aapke liye sirf guide hu hukum”
Vikram ne najar ferte hue kaha.
Karan ki kuch bolne ki himmat nahi hui. Dono car me beth gaye. Car sarpat daudati hui jaisalmer ke sabse purane mata ke mandir par ruki. Car se baahar aakar Vikram ko bahar se us mandir ka itihaas aur art ke baare me batane laga. Kuch der baad Karan ne darte hue kaha,’ ham mandir ke andar nahi jayenge kya”
Vikram ne muh fer kar kaha,’ hukum, aap jaakar darshan kar lijiye”
Karan,’ tum bhi chalo”
Vikram,’ kiss muh se jau matarani ke saamne hukum, ”
Karan ko Vikram ka har alfaaj nastar ki tarah chubh raha tha. Lekin vo kuch bola nahi. Usne mandir me jaakar darshan kiye aur neech aa gaya.”
Dono car me bethkar aur bhi jagho par gaye lekin pure din Vikram ne ek baar bhi Karan ki taraf nahi dekha jisne Karan ko bechen kar diya. Jab shaam ko car laut kar hotel aai to Karan ne Vikram se kaha ‘ please mere room me chalo, mujhe tumse kuch baat karni he please”
Vikram ne saaf mana kar diya to Karan ne uska hath pakad kar kaha, ‘ jab tak tum mujhse baat karne ke liye haa nahi kar dete me ye hath nahi chodunga”
Vikram,’ hukum me aapke paav padu su, mhane jaane do”
Karan,’ agar tum chahte ho ki yahaa logo ke saamne tamasha na ho to tumhe mere sath chalna padega.”
Vikram ko jab koi rasta na sujha to usne haa kar di.
Karan aur Vikram hotel ke kamre me aa gaye. Karan ne gate band kiya aur Vikram ko bed par bithakar uske bagal me beth gaya aur kahne laga, ‘ Vikram, please mujhe maaf kar do, mene jaanbujh kar kuch nahi kiya, meri wajah se tumhe sharminda hone ki jaroorat nahi he, aur na apne uper blem karne ki, tum bahut achche ladke ho, me to aaj raat ko jaipur ke liye nikal jaunga lekin me jaane se pahle tumhe khush dekhna chahta hu, batao mujhe me kya karu jisse tum mujhe maaf kar pao,’
Vikram kuch na bola. Ek pal ko kamre me sannata sa cha gaya fir Vikram sirf itna bola, ‘ Hukum, mhari ka hesiyat jo me aap loga ku maaf karu su, lekin me aap ke jameer pe bhi bojha na dalu,aap bas itta kijiyega ki is jindagi me kabhi jaisalmer laut kar nahi aaiyega,”
‘Preet lagaye lage na preet chutaye n chute” ye kahkar Vikram daudta hua hotel se baahar nikal gaya.
Karan ko Vikram ki baat ka matlab samajh nahi aaya. Ya ye kahe ki wo samajhna nahi chahta tha.
Raat ko Karan jaisalmer se jaipur aa gaya . Vaha aroraji ne dusre din use kuch ladkiwalo se milwaya.
Karan ne beman se ek rista final kar diya. 2 din baad delhi me shaadi aur reception hua aur usi raat vo log australia chale gaye.
Idhar Vikram ki dunia hi badal gai. Hasi thatta karne wala chora kisi pahad ke jesa thahar gaya tha. Saari dunia parai si lagne lagi. Uske andar pyar dard bankar bahne laga. Uske chacha uski halat dekhkar khoon ke aanshu rote the. Kai baar Vikram se pucha lekin Vikram ki to jese aawaj kahi kho gai thi. Vakt dhire dhire ret ki tarah fisalane laga. Ek saal baad Vikram ki chinta karte hue ek chachaji ne is dunia ko alvida kah diya. Ab Vikram ki dekhrekh karne wala koi nahi tha.
Vikram ne apne ghar se niklana takriban band kar diya tha. Pyar uske liye ibaadat ka dusra naam tha. Tab tak baarish ka mausam aa gaya. Lekin Vikram ab Baadalo ko dekh dar jata tha. Uska atit uski aankho me tairane lagta tha. Guide ka kaam to jari tha lekin sirf utna jitne me roji roti chal jaaye.
Is tarah pure 25 baras beet gaye .
Idhar Karan ki shadisuda jindgi bhi jyada din nahi chali . Uski wife ek car accident me mari gai. Karan ko uske jane ke baad apne bete ‘BAADAL” ki parwarish khud akele karni padi. Baadal apne papa ka bahut ladla tha. Aur ek karishma dekhiye bilkul Karan ke jesi surat thi. Aaj jab Karan office se lauta to usne dekha ki Baadal aaj fir India ghumne ki jid lekar betha he, aakhir Karan ko uski baat mannı padi aur vo baadal ke sath delhi aa gaya. Baadal to pura plan karke aaya tha usne Karan se kaha,
‘ dad, rajsthan se shuru karte he”
rajsthan ka naam sunte hi Karan ke andar jese kisi ne karwat li. Usne Baadal ko lakh samjhaya ki India me aur bhi bahut kuch dekhne ko he lekin baadal ad gaya. Haar kar vo agli flight se jaipur aa gaye. Baadal aur Karan ne chittodgarh se shuru kar udaipur, bikaner hote hue jab jaisalmer ka rukh kiya to Karan ki dhadkan bad gai. Vo raat me jaisalmer pahuch gaye. Aur sanjog dekhiye usi hotel me ruke jaha 25 saal pahle Karan ruka tha. Room me baadal ne kaha,’ Dad, dadi bata rahi thi ki aap to pahle yaha ghum chuke he?”
Karan talte hue bola,’ vo to bahut purani baat ho gai, ab to sab badal gaya he.”
baadal ne reception ko phone kar ek guide ka intejaam karne ko kah diya. Aur dono şo gaye lekin Karan ki neend ja chuki thi.
Use bahut dur se ek aawaj sunai de rahi thi.
‘ Hukum jab tak jindagi he jaisalmer dubara nahi aaiyega” saalo baad bhi vo tees Karan ke man me rah rahkar uthti thi. İnhi khaylo me khoye uski neend lag gai. Subah Baadal shor kar raha tha.
‘ Uthiye na dad, ham log let ho jayenge, vo guide aata hi hoga”
Karan uth kar fresh hone chala gaya. Tabhi doorbell baji. Baadal ne darwaja khola.
‘ hukum aap………….”
Ek lambi chuppi aur vo guide bhag gaya.
Karan jab bathroom se bahar aaya to baadal ne use bataya jo bhi hua.
Karan ko samjhte der na lagi vo Vikram hi tha. Usne baadal se kaha ki dusra guide bula lete he.
Lekin baadal ne kaha,’ usne mujhe ese kyun dekha jese saalo se jaanta ho, dad me abhi aata hu”
Ye kahkar Baadal bah
Baadal ne reception par us guide ke bare me pucha to usne bataya ki vo to mana kar gaya. Baadal ne baahar ki taraf use dekh dur se pukara,’ rukiye jara”
Baadal daudkar unke paas aaya. Aur bola,’ aap chale kyun aaye”
Vikram ne ek baar fir se mudkar us chehre ko dekha.esa laga jese vakt 25 saal piche laut gaya. Vahi chehra vahi kad kathi, lekin ye aankhe vo nahi thi jo Vikram ka sab kuch loot kar le gai thi. Use ahsas hua ki ye to koi aur he. Vikram sambhal kar bola, ‘ maaf kijiyega me aap ko kuch aur samajh betha tha.
Me aapko jaisalmer ghumaunga. Baadal khush hokar dad ko bulane chala gaya. Udhar Karan ne upper room ki window se Vikram ko pahchan liya tha. Uske dil me koi bhayanak tufaan ki aahat ho rahi thi. Usne ek bada kala chasma aur chehre par rumal chada liya jisse uska chehra kafi dhak chuka tha. Vo baadal ke sath aakar car me beth gaya. Idhar car me pahle se bethe Vikram kuch ajeeb sa ahsaas hone laga. Uski dhadkan tej ho rahi thi . Lag raha tha sir fat jayega. Car apni speed me daudti hui usi fort ke paas pahuch gai. Aasman me ghane kale baadal cha rahe the . Idhar Vikram unhe tafsil se us fort ke baare me batane laga. Karan Vikram ko aankhe chura kar dekh raha tha. Baadal apna camera lekar dur fort ke photo khinchne laga. To Vikram ne Karan se kaha,
‘ Hukum, aapne vada tod diya. Aap pyar to na nibha sake, kam se kam ye vada hi nibha lete,”
ye kahte kahte uski saanse chad gai. Aankho ke aage andhera sa chane laga. Vo girne ko hi tha ki Karan ne use tham liya. Karan bola,
‘ ye tumne apni kya haalat kar li Vikram, mujhe aaj tak nahi bhule tum, ek raat ki itni badi sajaa mat do me ji nahi paunga. Tumhari is kasam ne mujhe in 25 saalo me sone nahi diya. Tumhari ye kasam mujhe har pal ye ehsas karati rahi ki me tumhara gunahgaar hu. Mujhe aajad kar do please”
Vikram ki aankhe pathrane lagi vo jamin par dhire se bola,’ aap mera sab kuch to le gaye, lekin mhane prem kiya he, aapko mana ko ni, jaiye aajad kiya kasam se”
tabhi aasman se baadal tut kar barse bijaliya dahadne lagi.
Esa lag ke aasman aaj dharti pe jhukkar apni koi kimti cheej vapas le jane aaya tha. Vikram ki saanse tutne lagi.
Karan cheekhne laga,’ ye kya Vikram mere aate hi tum chal diye, ye kesa pyar he”
Vikram ke muh Se aakhiri shabd nikale,’ hukum preet ki reet badi kathin hove he, mhane jawe ki ijaajat………….”
aur ek jordar bijali ke kadake ke sath Vikram ne antim saans li, Karan dahad markar rone laga,
kuch log dur khade kah rahe the,’ lagta he koi punya aatma thi, dekho aaj tak jaisalmer me ese baadal nahi aaye.”
Baadal ne sab kuch sun liya tha. Usne apne dad ko sambhala aur rote hue bola.
‘ Papa, kya pyar esa hota he”
Karan cheekh pada,
‘ Haa beta pyar esa hota he”
dur banjaro ka tola ga raha tha.
‘ Preet ke sare rang nirale kese khel dikhawe,
disko tarsi barso aankhia,
us ko hi thukrawe”

Comments