Ek adhuri Gay Prem kahani – Part 1
Gay Prem kahani
Mumbai, ek aisi city jo ghadi ke minute hand se jyada tej bhagti hai. Yaha logon ko ekdusre ki taraf dekhne ka samay bhi nahi milta. Subah 7.27 ki fast local aur sham ko 6.35 ko fast local bas isme hi sabki dunia simat jati hai.
Aisi fast life me jaha har koi bhag raha tha wahi dheere dheere panap rahi thi ek khubsoorat prem kahani.
Prayag, 23 saal ka simple and ordinary ladka, sapne bade bade, director banke use world ki sabse badi romantic movie banani thi is liye woh direction me diploma kar rha tha. Churchgate me ek apartment me rehne wala Prayag subah college aur sham project me busy rehta tha. Hamesha hardwork krne wala Prayag use bas ek hi chij apne work se distract krti thi aur woh hai Rahul.
Rahul, 25 saal ka engineer, job krta tha andheri me. Daily routine morning me 7.27 ki fast local pakadke office aur sham ko 6.35 ki local pakadke wapas churchgate apne ghar. 2 saal se Rahul job karta tha par kabhi aajtak uski local train miss nahi hui. Abto train me sab ekdusre ko pehchanne bhi lag gaye the.
Prayag hamesha Rahul ko notice krta tha, attention deta tha aisa par pata nahi kyu Rahul ne kabhi is baat ko notice nahi kiya kyunki Prayag ko sirf aisa lagta tha ke woh Rahul ko so called line mar raha hai jabki Rahul ke samne aate hi uski fat jati thi, pasine chutne lagte aur kya bolu use kuch samajh nahi aata tha. Inshort apne aap ko CHHAVA (stud) samajhnewala Prayag reality me pyaar ke mamle me bada fattu tha. Rahul aur Prayag ek hi apartment me rehte hai bachpan se, dono ek dusre ke dost bhi hai par sirf hi,hello wale kyunki hamare Maharaj Prayag ko jabse feelings aana start hogaya tabse Rahul ke samne unki hawa nikal jati hai isliye woh kabhi hi,hello se jyada bolta hi nahi aur isiliye ye bachpan se chali aarahi one sided love story aajtak one sided hi rahi…!
Today:
Aaj Sunday tha aur Prayag bore ho rha tha isliye terrace pe aakar basketball basket me dalne ki practice kar raha tha. Tabhi waha Rahul aake Prayag ke piche khada hogaya. Rahule ke aane ki bhanak Prayag ko hogayi thi and isiliye because of Rahul’s magnetic force of attraction hamare Hero ka ek bhi ball basket me nahi gira. Prayag ekdam se nervous hogaya tha Rahul ke deo ki smell aane se( you can say seduce). Continue 5-6 baar misfire hota dekh Rahul has pada aur bola,
“bhai, ek bhi ball basket me nahi gayi aaj kya hogaya tujhe? Kaha dhyan hai?”
Rahul ki awaaz sunke Prayag jhat se piche muda aur ekdam se uske muh se nikal gaya,
“bhai??? Me kisika bhai nahi hu…”
“ hehehee, achha can I try??” Rahul ke request ko Prayag to mana kar hi nahi sakta tha aur uper se uske basketball ko Rahul hath laganewala tha ye sochkr to woh kuch jyada hi khush hogaya.
“ hey Prayag tum bollywood me janewale ho na? movies direct karnewale ho?” Ball basket me fekte fekte Rahul ne Prayag se pucha.
“Ha but tujhe kaise pata?” Rahul ko uske bare me sari khabar hai ye sunke Prayag ne excitement se pucha.
“woh actually tumhari mom mere ghar aayi thi to unhone bataya. So Director sahab ab to tum TV pe hi dikha karoge na aage se.”
“hehehe, are aisa kuch nahi hai abhi to sikh rha hu aage bahot struggle karna hai. Waise tumhe movies me interest hai?” Prayag ne pucha.
“ No I dnt like movies, Hollywood movies to me dekh leta hu but ye bollywood love stories to mera dimag short krti hai.. its just bullshit.” Basket pe nishana lagate huye Rahul ne kaha.
Rahul ke is jawab ne to Prayag ke dil ke armaan aasuon me baha diye, warna ab Prayag apne dream ko explain krnewala tha.
“chalo yaar Rahul me chalta hu mujhe thoda kaam hai bye..”
apne badhte nervousness ko chupane ke liye Prayag waha se chala gaya aur jate jate hindi filmon ki tarah woh bich me ruka aur piche mud ke dekhne laga kahi Rahul dekh to nahi raha aur may be Rahul ne man me socha ho ‘agar Prayag mujhe pyaar karta hai to piche jarur mudega’, par jaise hi usne piche mudkar dekha, Rahul apne kisi frnd se baat kar rha tha aur woh baton me itna busy hogaya tha ke Prayag use dekh rha tha ye bhi usne notice nahi kiya. Ab ye dekhkar Prayag daudta hua apne room me aaya aur apne aap pe frustration nikalne laga.
“ Aunty Namaste, ye Prayag ghar per hai kya?”
“ are Bunty, Raju tumdono? Aajao ander, Prayag uske room me hai” Prayag ki mom ne room ka raste dikhate huye kaha.
Bunty aur Raju Prayag ke college frnds jo Prayag ke gay hone ke bare me jante the and unhe isse koi prblm nahi thi kyunki unke liye ye ek mamuli baat thi and unke kai sare gay frnds bhi the.
“ omg, abe itne sare pages kyu fad ke rakhe hai kya horaha hai ye?” dono ne Prayag se pucha.
Prayag ne unhe puri story batai, “ yaar sach me yaar me Rahul ko bahot jyada like karta hu par pata nahi uske samne aate hi meri hawa tight hojati hai. Sochta hu usse ye baat karunga woh baat karunga par jab woh samne aata hai me kuch bol hi nahi pata. Dil ki itni sari baate use batani hai, ekbaar uska hath pakadke use I LOVE YOU bolna hai par yaar me kuch kar hi nahi pata. Aur uper se woh bhi mujhe bilkul bhav nahi deta yaar kya karu samajh me nahi aarha hai yaar… I miss him so much…”
Bolte bolte Prayag apne hi agar sapno ki dunia me kho gaya.
“oye ye sab to thik hai par agar Rahul straight nikla to?” Raju ne interrupt krke pucha.
“are nahi he is interested in men I knw that bcz me uske sath meri fake ID se chat karta hu na facebook pe” Prayag ne aankh marte huye kaha.
“oye tu to sach me usse bahot pyaar karta hai re. Ab to teri help karni hi padegi. Waise bhi hum directors hai yaar hum love stories banate hai teri bhi bana denge. Aur yaar tu khud itni hindi movies dekhta hai kuch sikha nahi kya usse kaise pataye apne bf ko???” Raju bol rha tha tabhi bunty bol pada,
“ yaar hindi movies nahi yaar english movies se koi Idea churana hoga woh kafi creative ideas late hai”
“o hello hum Ideas churate nahi hai kabhi, use bolte hai inspire hona, sahi words use kiya kar apni bollywood ki bhi koi respect hai samjha”
“oye tumdono jhagda karna band karo aur mujhe Rahul ko patane ke Ideas do” Prayag ne irritate hote huye kaha.
“ ok Prayag sahab, we are on mission, aaj raat ko sari English romantic movies dekh lete hai aur kal tujhe yaha waha se mix karke ek jabardast Idea batayenge, thik hai na?”
====================================================================================
Next day:
Raju aur bunty Prayag ko hi dhundh rhe the college me aur fir jaise hi prayag dikha dono tut pade uspe.
“Dude ek zakkas plan hai, kal humne bahot sari movies dekhi and finally hame pasand aaya Titanic ka plan”
“what Titanic ka plan?” Prayag ne curiosity se pucha.
“ dude, Titanic se tune kya sikha? Ek lukkha ladka 3din me ek high class ladki ko pata leta hai and u knw kaise?”
“kaise?” Prayag confused horha tha use samajh nahi aarha tha ye Raju kya bol rha hai.
“abe gadhe… heroin uski deewani kyu hoti hai? Uski drawing dekhke… woh jo pictures nikalta hai use dekhke.”
“o hello excuse me, me koi painter nahi hu aur uper se waisi wali pics nahi nikalunga me .. ha agar Rahul ko khud ki nikalni ho to me try kar sakta hu” Prayag ne naughty hote huye kaha.
“hey bhagwan is pyar ke deewane ka kya hoga? See, use movies pasand nahi to tu woh talent dikhayega to bhi use koi fark nahi padega isliye tu use attract kar drawing se just like TITANIC aur impress karne ke liye drawing book bunty tujhe lakar dega bas woh book tu uske samne leke baithiyo. Done…..”
At evening,
“samajh me aaya plan? Tu lawn me baithega jab Rahul aate huye dikhega and bas impress karna shuru kar de ok? No nervousness..”
“ok ok par ye bunty abhitak book leke aaya kyu nahi?”
“dhan tanan……. Ye lo drawing book” Bunty ne bade garv se book Prayag ke hath me di.
“Dude, whats this?” Raju ne gusse se kaha.
“are drawing book hai na tune hi to bola tha lane ko.”
“ abe ullu ke patthe, ye 2nd std ki drawing book hai, mujhe kisi bachhe ko impress nahi karna” Prayag fir se irritate hogaya.
“yaar ab woh pehle batana chahiye tha na mujhe kya pata… “ Bunty ne avoid krte huye kaha.
“arerererereree…….. woh dekh Rahul aarha hai ja bhag Prayu” Raju ne jor se kaha.
“are par ye book leke kaise jau me?”
“are yaar koi fark nahi padta yaar insab baton ka pyaar me tu bas jake baith ja” bunty ne apni galti chupane ke liye kaha.
Rahul ke aate dekh Prayag lawn me aisi jagah baitha jaha se Rahul ki najar uspe pade aur waise hi hua. Rahul ne use dekha, Prayag book khol ke pencil se uspe overwrite kar rha tha aur Raju Bunty chup ke sara drama dekh rhe the.
“ hey tum yaha kya kar rhe ho?” Rahul Prayag ke pass jakar baith gaya.
“kuch nahi yaar sham ka time hai itna achha mausam hai to hobbies ko explore kar rha hu.”
“wow tum painting bhi karte ho? Multitalented ha, that’s really great. Mujhe to dikha kya paint kar rha hai?”
“ ha wo….. wo…………..” as usual Prayag ki bolti band hogayi thi.
Rahul ne book me jhanka aur jor jor se hasne laga. Rahul ki hasi dekhkar Prayag gusse me aagaya par gussa Rahul pe nahi tha woh to kabhi ho bhi nahi sakta woh to man me bunty ko gaaliya de rha tha.
Rahul ko Prayag ke change huye bhav samajh me aagaye aur usne apni hasi control karte huye kaha,
“ its ok yaar har kisiki alag alag hobby hoti hai, main thing hoti hai apne hobby ko explore karna that’s it. Aur ye drawing book mujhe bahot pasand hai bachhon ki kyunki bachhe kitne cute hote hai na. I just love kids..Chalo me chala ghar bahot bhook lagi hai”
Rahul waha se utha aur ghar ki taraf badhne laga. Chalte chalte Rahul ne piche mudkar dekha to yaha Prayag book me muh dalkar Bunty ko gaaliya de rha tha man hi man me.
“saale gadhe kutte kamine, saale teri wajah se mera itna bada popat hogaya uske samne tu to gaya kaam se “ Prayag gusse me Bunty ke piche bhagnelaga use marne ke liye.
“are Prayu ruk yaar control, u knw Rahul jate jate ham ek naya idea bata ke gaya.” Raju ne Prayag ko rokte huye kaha.
“konta Idea?” Prayag fir se confused.
“ kal ka naya plan… Rahul ko chote bachhe bahot pasand hai na. Ab hum kal use chote bachhe se milwayenge… yessssssssssssss”
Bunty aur Raju ka confidence dekhke Prayag fir se tention me aagaya.
“hey bhagwan ab tum kya karnewale ho?”
“ Don’t worry Prayu, hum dono teri love story bana kar hi rahenge ye hamara vadaa hai, trust me”
Prayag apne question mark wale chehre ko leke ghar chala gaya.
To be continued soon ………