BAIRI PIYAA – An Indian Gay love story – 3

BAIRY PIYAA ( a gay love story part -3 )

By Devraj Gohil

” tab mere paas tum the……………

mujhe kya pasand he kya nahi iska khayaal mujhse jyada tumhe tha. mujhe jara si sardi lag jaati thi to tum itane pareshaan ho jaate the jese jaane kya ho gaya ho. study me meri madad karte rahe . kabhi mahsus hi nahi hone diya ki gwalior me mera koi nahi he.

per tab me tumhe sammajh nahi paya yaa kaho kabhi koshish nahi ki. aur jab kanpur wapas gaya to pata chala ki mere jism ka ek hissa to yahi gwalior me rah gaya. jo tum the. mene waha kai dost banaye lekin tum jesa koi nahi mila. kisi ki baanho me vo apnapan mahsus nahi hua jo tumse mila. meri personality ko dekhkar kai ladkiya life me aayi lekin unhe bhi mere jism se aur mere paise se pyaar tha.do saal me sab samjh aa gaya ki asli pyaar ki jindgi me kya ahmiyat hoti he. lekin jab samjha tab tak tu mujhe apni jindgi se nikaal chukaa tha. socha ki tujhse baat karu lekin fir ye sochkar rah gaya ki tu civil services ki preparation me busy tha.aur jab tere selection ke baare me pata chala to me bahut khush hua lekin tune mujhe party me bhi nhi bulaya to me kese theek rah sakta hu, jindgi me le dekar ek hi insaan tha jo mujhe samjhta tha , pyaar karta tha aur jab vo hi nahi he to me kya karu jeekar. is khubsurat jism se nafrat ho gayi he mujhe, na ye khubsurat jism hota aur na me u bahkata. anmol sach kah raha hu.me badal chuka hu.

Click here to read the previous part of this story

gwalior me tujhse yahi kahne aaya tha ki mene jindgi me apni sabse kimti cheej kho di he. ab aur kuch khone ka dar nahi raha mujhe.”

rituraaj ke bejaan se chehre se dard ris kar tapak raha tha. anmol ne kuch jawab nahi diya. anmol ki chuppi ne rituraaj ki ummeed ke aakhiri chiraag ko bhi bujha diya tha.

kuch der me hospital se reports aur medicines lekar wo dono anmol ke ghar aa gaye the. raat ko dinner ka wakt ho raha tha. anmol ki maa ne anmol se kaha ki rituraaj ko khaane ke liye bula lo. to anmol rituraaj ka khaana lekar kamre me aa gaya. usane dekha ki rituraaj so chuka tha. anmol uske kareeb hi bed per beth gaya. usane rituraaj ke mathe per hatah ferte hue kaha,

” tumane to sab kah diya rituraaj do tumhaare dil metha. per mene to esi kismat paayi he ki kabhi apne dil ka dard bhi tumse nahi kah paya. tumhaare pyaar ke ahsaas ne mujhe ktana badal diya he rituraaj. tumse u rukhaai se pesh aata hu to mera di jaar jaar rota he.tum mere hote hote rah gaye. lekin me us sab ko kese bhool jau jo mene apni aankho se kakanmath me dekha tha. sab khatam ho gaya he rituraaj . lekin tumhaare liye mera pyaar hamesa rahega. tum shayad apna ghar bhi basa loge. per mere pyaar ki kahani to yahi aakar khatam ho jaati he. jindgi tumse pahle koi nahi tha aur tumhaare baad koi nahi hoga.

hamesa ssoch rakha tha ki agar tum mere hue to me tumhe ek naam dunga jo mere pyaar ko bayan karega.,

” piyaa……………………..per ab man karta he tumhe bairy piyaa kahu.

tumane mujhe kahi ka nhi chhoda rituraaj. ye do saal do sadiyo kit tarah kaate he mene . jaane ye jindgi kese kategi. bahut dar aur akelapan he jindgi me. koi esa nahi jise apne man haal suna saku. rituraaj tum chale jaao . shayad hamara sath yahi tak tha.”

itana kahte kahte anmol ki aankho se aanshuo ki dhara bah nikali. rituraaj so nahi raha tha bas ese hi leta tha. anmol ki saari baate wo sun chuka tha. uski aankhe bhi baras rahi thi. use samajh aa gaya tha ki anmol use kitana chahata he. rituraaj ne man me socha ki rone se kuch nahi hoga . ye dono ki jindgi ka sawaal he. kuch to karna hi padega.

udhar anmol aakar apne kamre me so gaya. raat me anmol ne ek khwaab dekha. ek bahut khubsurat sa ghar he jisame se kuch aawaje aa rahi he. arey ye to anmol aur rituraaj he. dono ki shaadi ko 4 saal ho gaye he. anmol aaj kisi baat pe rutha hua he itane me rituraaj ek bahut shandaar cake lekar andar aata he. anmol gusse me kahta he.

” ye kya utha laaye ho bairy piyaa??????????”

rituraaj ne cake ke upper lagi cream apni finger me lekar chaatate hue kaha,” wo kya he na pados wwale guptaji ki aaj wedding anniversary he unake liye laaya hu.”

achaanak se anmol ko yaad aata he ki aaj to uski aur rituraaj ki wedding anniversary he. usane jhapatkar apne piyaa ko gale laga liya. rituraaj ne apni maansal baanho me anmol ko utha liya aur aapni baanho he use jhule ki tarak pakad liya. fir use sambhaalkar apne seene se laga liya. 4 saal baad bhi unka pyaar utana hi naye josh se bhara hua tha jese pahle. anmol ka hath sarkta hua rituraaj ke hips pe aa gaya tha. rituraaj ne apni t- shirt ko utaar fek diya . anmol ne rituraaj ke ubhare hue seene ko chmana shuru kar diya, rituraaj bahakta ja raha tha. anmol ne rituraaj ka hath pakda aur use bister tak aa gaya . rituraaj ko bed per peeth ke bal leta kar anmol ne bhi saare kapade utaar diye the. lekin rituraaj abhi bhi undi ne hi tha. anmol ne rituraaj ke seene per apna sar rakhte hue kaha,” bairy piyaa ek baat batayenge?????”

rituraaj ne anmol ki gardan pe ek nashilaa kiss dete hue kaha , ” haa jaan puchho……..???”

anmol ne apna hath rituraaj ke seene pe firaate hue kaha,” agar me mar jaau to tum kya karoge…..???”

rituraaj ke chehre se gussa tapkane laga usane gambheer hokar kaha,” anmol, yaad rakhana jab tak tu he . tabhi tak me hu. warna kuch nahi”

anmol ka hath seene se sarkte hue neeche waha pahuch gaya tha jaha use hona chaahiye tha. anmol ki aankho me pyaar ke sath sharaarat tapak rahi trhi. rituraaj per bhi pyaar ki khumaari chad rahi thi. usane bhi anmol ke nipples ko kiss karna shuru kar diyaa. uske chumane ka tareeka itna romantic tha ki anmol apne hosh khone laga.

anmol ne hath badaakar rituraaj ko apne upper khinchate hue kaha,

” rituraaj aaj me tumhaare pyaar ko apne jism ke har hisse pe mahsus karna chahta hu???’

rituraaj ne apne anmol ki baat ko maana aur kuch der me hi waha pyaar apne shabaab per aa gaya tha.

subah jab anmol ki neend khuli to usane dekha ki uske jism pe koi kapda nahi he aur uske bagal me rituraaj bhi usi haalt me so raha he. paas me table pe cake pada hua tha. anmol ko kuch samjh nahi aa rhaa tha. ye sab kya tha usane to ek sapna dekha tha bas. per rituraaj yaha kese aur ye cake , aakhir kya hua he. uska sar ghum raha tha. usane apane aapko pinch kiya to use dard hone laga ohhhh………………….to ye sach he ……..??????

lekin ye sach kese ho sakta he . ????

uska sar ghumane laga . use laga use so jana chahiye usane sote hue rituraaj ko dekha . rituraaj

ke chehre per sukun chhaya hua tha. jaane kya hua anmol ko usane rituraaj ke maathe per hath firaate hue kaha,

” kya me sapna dekh raha hu ” bairy piyaa “???????

rituraaj ka flate abdomen aur uska muscular seena dekhkar anmol ne apna hath us per firana chaalu kar diya aaj wo apne man pe kaabu nahi kar paa raha tha. rituraaj ke jism per anmol ka hath padte hi rituraaj ke muh se aah nikal gayi. anmol ko achaanak se samjh aaya ki wo kya kar raha he to usane apana hath wapas khinch liya aur wapas jaakar bed pe so gaya uska sir dard kar raha tha. kareeb do ghante baad jab uski neend khuli to dekha ki wo kamre me akela tha na koi cake na kuch aur. wo soch me pad gaya ki aaj raat hua kya tha. usane jaldi se towel lapeta aur daudkar rituraaj ke kamre me gaya waha rituraaj nahi tha. usane maa ko aawaj lagayi,

” maa maa ………..??????????

rituraaj kaha he ????”

maa rasoi me nasta bana rahi thi wahi se boli,

” beta rituraaj to abhi abhi station ke liye nikal gaya. kah raha tha ki subah ki train he.”

anmol ne maa ki taraf sawaaliya najaro se dekha. maa kah rahi thi,

” bahut pyara bachcha he rituraaj jaanta he raat me market se tere liye cake laaya tha kah raha tha tere sath party karega . kah raha tha ki aaj anmol ke hath se hi cake khaaunga. thoda pagal he aur natkhat bhi tere kamre me hi to gaya tha wo. ‘”

anmol ab kuch kuch samjh aa rhaa tha . ki jo raat me hua wo sapna nahi sach tha. anmol apne room ki taraf dauda usane apne room ko gaur se dekha to table per ek letter pada hua tha, anmol dham se bed per beth gaya aur letter padne laga,

” me tumhaare laayak kabhi nahi tha. tum bahut achche ladke ho . raat me jo bhi hua usme tumhaari koi galti nahi thi. me hi khud ko sambhaal nahi paaya. maana ki tumane jid ki thi per me chahta to ye sab hone se rok sakta tha. lekin dil me kahi na kahi me bhi yahi chahta tha. me jaanta hu subah uthkar tumhe jab pata chalrga ki raat me kya hua he to tum mujhse nafrat karane lagoge . meri shakal nahi dekhana chaahoge. lekin is ek raat me tumane mujh badnaseeb ko itna pyaar de diya he mujhse sambhaale nahi sambhal raha. meri jindgi ki ye sabse yaadgar raat thi. shayad upper waale ko mujhpe taras aa gaya tha jo usane tumhe ek raat ke liye mera bana diya.anmol me jaa rha hu wapas kanpur tumhaari yaado ke sath…………

tumhaara

BAIRY PIYAAA “

ANMOL ne apne dimaag pe jor dala to use halka halka yaad aaya ki raat ko rituraaj uske kamre me cake lekar aaya tha.usane anmol ko jagane ki koshish karte hue kaha tha.

” anmol tumane kuch nahi khaya he utho plssssss

dekho me tumhara man pasand cake laaya hu,uthi na ………………….”

anmol ko yaad aane laga ki usane rituraaj ka hath pakad kar use apne bed per gira diya . rituraaj ne mana karte hue kha bhi ki,

” aanmol ye kya kar rahe ho, plss utho na ………cake saamane rakha he…………..”

anmol kah raha tha,” achcha ek baat batao. agar me mar jaau to tum kya karoge…..???????'”

rituraaj ne anmol ki taraf gusse se dekhte hue kaha,” ek baat samjh lo anmol jab tak tum ho tabhi tak me hu warna kuch nahi.”

aur uske baad kese anmol ne rituraaj ko apne pyaar me dubo diya ye sab anmol ko yaad aane laga. use mahsus hua ki ye sab uski galti thi. isame rituraaj ka koi dosh nahi tha. usane ghadi ki taraf dekha abhi bhi train ko jaane me 15 minute baaki the. anmol ne jaldi se kapde pahne aur bike lekar station aa gaya. dekha ahi train aane wali thi. plateform no. 1 per bahut jyada crowd tha . ab ese me rituraaj ko dundana muskil tha . uski aankho me bebasi ke aanshu aa gaye . wo aaj apne pyaar ko jaate hue nahi dekh sakta tha. achaanak se uske dimaag me kahayal aaya aur usane gwalior collector ko phone lagaya,

” gm sir, me anmol bol raha hu . mene isi saal I.A.S clear kiya he. mujhe aapki madad chahiye???’

udhar se ek bahut damdaar aawaj aai,” gm anmol, me jaanta hu aapke baare me. news paper me pada tha. yaar ab aap hamari hi bridari ke ho. bejhijhak bolo kya help chaahiye……………????”

anmol ne haklaate hue kaha,” sir kya aap gwalior kanpur sperfast train no 2254 ka departure aadhe ghante ke liyerukwa sakte he……………?????”

udhar se aawaj aai  ” lekin baat kya he wo to batao…………..??????

anmol ne rote hue kaha, ” sir, wo mujhe chodkar jaa raha he……mujhe use rokana he ………….'”

udhar se aawaj aai, ‘ uska naam aur age kya he aur kaha ja raha he wo???????????”

anmol ne rote hue kaha, ” rituraaj naam he uska 25 saal age he aur kanpur ja raha he.”

udhae se aawaj aai. ” theek he me dekhata hu. tu pareshan mat ho'”

anmol train ki har bogi me chad ke rituraaj ko dekh raha tha. itane me train ka time ho gaya aur train chal di. anmol ko esa lag raha tha ki koi usaki jaan ko uske jism se alag kar raha tha.

wahi plateform pe khada hau wo jaati hui train ko dekhte hue dahad maarkar roye ja raha tha. kareeb 20 minute baad station pe halchal si hui . lagta he koi bada officer aa raha tha. anmol ne najar utha ke dekha to saamane se gwalior collector chale aa rahe the . unke sath kaafi ssara force bhi tha. unhone apne mobile se anmol ka no.

try kiya to anmol unke saamne jaakar khada ho gaya. aur rote hue bola, ” sir , me hi anmol hu…..per train to ruki nahi sur……..??????”

collector ne aage badkar anmol se hath milaate hue kaha, ” anmol mere sath aaiye jara”

anmol rituraaj ki yaado me khoya hua unke sath station master ke chamber me aa gaye. collector ne sab logo ko bahar jane ko kaha aur anmol ke sath andar beth gaye. kuch hi der me do police waale ek ladke ko lekar andar aa gaye. unhone salaam kiya aur unme se ek hawaldaar bol, ” saabji…………….ye wahi he jinke baare me aapne bola tha.”

anmol ne najar utha ke dekha to saamane rituraaj gardan jhukaye khada tha. usne shayad anmol ke waha hone ki ummeed bhi nahi kithi. isliye uski gardan jhuki hui thi. anmol ne jhapatkar kursi chhod di aur rituraaj ki aur bada to collector sahab ne anmol ka hath pakadte hue use rukane ka ishara kiya aur un dono police waalo ko bahar jane ko kaha,

ab anmol utha aur rituraaj ke paas aakar khada ho gaya, uska gala bhar aaya usane rituraaj ke sar pe hath rakhte hue kaha,

” tum ese nahi jaa sakte rituraaj. aur me tumhe jaane bhi nahi dunga, tumane bahut rulaya he mujhe aur tadpaya bhi. lekin ab tum apni manmaani nahi kar sakte. ab me kahunga wo karna hoga tumhe”

rituraaj ne najar utha ke dekha to samane anmol khada tha . uske acharaj ka thikana ahi tha. usane anmol ko seene se laga liya dono ese lipte hue the ki kitane janamo ke baad mile ho. itna pyaar dekhkar collector sahab bhi emotional ho gaye. unhone tokate hue kaha,

” anmol sambhaalo yaar khud ko ye station he . koi dekh lega “

anmol jhat se rituraaj se alag ho gaya . wo kuch sharma raha tha . use yaad hi nahi tha ki waha koi aur bhi he. usane sankoch se kaha,

” sorry sir”

collector ne khush hote hue kaha, ” mene tumhara kaam kar diya anmol . ab tumhe mera kaam akrna padega…..???”

anmol ne hairaan hokar puchha , ” kya sir…………???????????”

collector sahab ne haste hue kaha,” shaam ko mere bangle pe aao rituraaj ke sath. tum logo ko apni family se milwana chahta hu”

anmol muskuraa diya . usane haami bhar di.anmol ne collector sahab ko thaks kiya aur rituraaj ka hath pakadkar use station se bahar le aaya aur apni bike start ki . rituraaj bike chala rha tha aur anmol peeche betha hua tha. anmol ka sar rituraaj ke kandho per tha aur uski baanhe rituraaj ke kamar ko kase hue thi. anmol aaj bahut khush tha.dono bike pe gwalior se dur ek sunsaan jagah pe aa gaye the. achaanak rituraaj ne gaadi rokte hue kaha, ” mujhe tumse ek vaada chhaiye anmol”

anmol ne rituraaj se anpne badan ko kaste hue kaha, ” bolo bairy piyaa kya waada chahiye??”

rituraaj ne jhoot ka gussa dikhaate hue kaha, ” tum ye apni collectory ghar ke andar nahi dikhoge. arey abhi to shruwaat hui he aur mujhe sare aam police se pakdwaa diya . aage pata nahi mere sath jaane kya kya karoge ….???”

anmol , rituraaj ki baat sunkar khilkhilaakar has pada. usane rituraaj ke gaal pe ek kissi dete hue kaha, ” bairy piyaa, ye anmol dunia ke liye collector hoga lekin mere dil aur ghar ke collector to bas tum hi rahoge hamesa hamesa………………”

rituraaj ne anmol ko apni aur khinchate hue kaha, ” to aaj mera hukam he ki jo sapna aaj raat adhuraa rah gaya use ham aaj pura kare”

anmol ne rituraaj ke shirt ke button khlte hue kaha, ” jo hukum collector sahab…………..”

ye sunte hi rituraaj ne haskar anmol ko gale laga liya.

_________ RAJVEER

Comments